ghane andhere mein raushni ki kali khili hai bahut bhali hai

ghane andhere mein raushni ki kali khili hai bahut bhali hai
ghutan se dam tutne laga to hawa chali hai bahut bhali hai

main apni faqa-zada si ummid par na kyon apni jaan warun
ki in dukhon mein aur aise haalon bhi ye pali hai bahut bhali hai

atak raha tha andhera sanson mein khauf khun mein gila hua tha
ai subh-e-kazib jo chhod kar zinda shab tali hai bahut bhali hai

main phir teri khair apne kase mein dal lun ye nahin gawara
ki tere dar se uthi to jo zindagi mili hai bahut bhali hai

ye dil hai mera so is ki gunjaaniyat ke hain mukhtasar kawaif
tamam basti tera hi ghar hai teri gali hai bahut bhali hai

main chand ke pas ja ke dekhungi aasman se pare ka manzar
rahe tajassus falak pe khidki jo ye khuli hai bahut bhali hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close