ghar hai tera tu shauq se aane ke liye aa

ghar hai tera tu shauq se aane ke liye aa
lekin main ye chahunga na jaane ke liye aa

ye rukh bhi mohabbat ka dikhane ke liye aa
aa mujh se nazar pher ke jaane ke liye aa

muddat se hun main teri mulaqat ka talib
aa mujh pe koi zulm hi dhane ke liye aa

paimanon se pite hain piyen rind-e-kharabaat
tu mujh ko nigahon se pilane ke liye aa

arbab-e-khirad ko hai bada naz khirad par
tu un ko bhi diwana banane ke liye aa

kya main tere is lutf ke qabil bhi nahin hun
ai jaan-e-wafa dil hi dukhane ke liye aa

bardasht ise ishq ki ghairat na karegi
kyun tujh se kahun main ki zamane ke liye aa


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close