ghat gai hai qadr-o-qimat aaj ke insan ki hum pe ghaalib ho gain makkariyan shaitan ki jis tarah bhi dekhiye dahshat ka ek mahaul hai ek khilaune ke barabar haisiyat hai jaan ki ab dukan bazar mein ahl-e-khirad ki band hai ab ijara-dari hai danai par nadan ki main ne ye sachchai jaani hai bahut khone ke baad dosti achchhi nahin hoti kabhi nadan ki zindagi ki mushkilon ka hal hai apna hausla kuchh usi se hoti hai kheti hari arman ki zor-e-baatil ko zamane mein mayassar hai farogh aabru khatre mein hai ab sahib-e-iman ki zinda rahna aaj kal 'khushtar' bahut dushwar hai baala-dasti aaj dekhi jati hai balwan ki