ghazal jab taza kahta hun purani bhul jata hun

ghazal jab taza kahta hun purani bhul jata hun
fasana likhne baithun to kahani bhul jata hun

meri raftar duniya se bahut hi tez hoti hai
ragon mein khun ki aksar rawani bhul jata hun

mere hathon mein jab bhi wo hinai hath rakhti hai
main baaten sab zamini aur zamani bhul jata hun

main nur-e-agahi ke qurmuzi-dhaaron mein rahta hun
andheri shab ke mathe ki nishani bhul jata hun

main sahil par khada hun ye samundar muztarib kyon hai
main in sochon mein gum sipi uthani bhul jata hun

kisi budhe shajar par jab 'wali' meri nazar jae
budhape ke tasawwur mein jawani bhul jata hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close