ghazal kahne mein yun to koi dushwari nahin hoti magar ek masala ye hai ki meyari nahin hoti agar chehra badalne ka hunar tum ko nahin aata to phir pahchan ki parchi yahan jari nahin hoti samundar se to majburi hai us ki roz milna hai bahut chaalak hai lekin nadi khaari nahin hoti bataun kya mujhe mohtat rahna aa gaya kaise na jaane mujh pe kyun wahshat koi tari nahin hoti sipahi se sipah-salar banna kitna aasan hai magar majbur hun main mujh se ghaddari nahin hoti hawa ki shart hum kyun mante kyun is tarah dabte hamein gar sans lene ki ye bimari nahin hoti