ghazal mein husn ka uske bayan rakhna hai

ghazal mein husn ka us ke bayan rakhna hai
kamal aaankhon mein goya zaban rakhna hai

jahaz-ran hunar o hausla na le ja sath
hua ke rukh pe agar baadban rakhna hai

bhara to hai mera tarkash magar ye dil hai gudaz
so umr bhar mujhe khali kaman rakhna hai

diye bujhati rahi dil bujha sake to bujhae
hawa ke samne ye imtihan rakhna hai

bahut hanse mere is faisle pe saya-nashin
ki sar pe dhup ko ab saeban rakhna hai

ho intizar-e-bahaaran jahan na ranj-e-khizan
'kamal' aisa bayaban makan rakhna hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close