ghazlon ki kaenat ka badla hua hai Dhang

ghazlon ki kaenat ka badla hua hai dhang
allah jaane kis ghadi bedar ho malang

main bhi mera raqib bhi donon hain zakhm zakhm
donon lahuluhan hain ye hai ana ka rang

sar katta na aap ka karta main kya bhala
is bar lad raha tha main apni baqa ki jang

muflis ne gar amir ko chanta jada to kya
aatish-fishan bhi palta hai ghurbat ke sang sang

kab tak bhala yun jhut ki rassi batege aap
kab tak bhala yun pesh karenge bhi uzr-e-lang

is waste wo aankhon mein halqa-ba-gosh hain
dil ke qarib jati hai aankhon se ek surang

sajde mein walida ke ye 'hassas' tha asar
dast-e-dua ne jit li dast-e-qaza se jang


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close