ghubar-e-dard mein rah-e-najat aisa hi

ghubar-e-dard mein rah-e-najat aisa hi
raha hai koi mere sath sath aisa hi

to bhul pane mein dushwariyan bahut hongi
kiya hai pyar had-e-mumkinat aisa hi

baras guzar gae us se juda hue lekin
ajib bain hai mauj-e-furaat aisa hi

use bhi os mein duba hua laga tha badan
mujhe bhi kuchh hua mahsus raat aisa hi

main jis se khauf-zada tha shurua se aakhir
tamasha kar gai ye kaenat aisa hi

koi bhi rang mayassar na aa saka to phir
qubul kar liya rang-e-hayat aisa hi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close