ghubar-e-jahan mein chhupe ba-kamalon ki saf dekhta hun

ghubar-e-jahan mein chhupe ba-kamalon ki saf dekhta hun
main ahd-e-guzishta ke aashuftagan ki taraf dekhta hun

main sar ko chhupane se pahle jahan ka hadaf dekhta hun
mahakte hue nek phulon ko khanjar-ba-kaf dekhta hun

hai andar talak ek neza gulu main kar-e-wazu mein
to is hao mein main kahan par hun kis ki taraf dekhta hun

zamane ki ghaten kitabon ki baaton ko jhutla rahi hain
main hairat ka mara tamashai-e-iz o sharaf dekhta hun

panah mil na pai khayal-e-khuda mein jamal-e-khudi mein
main is bebasi mein pareshan su-e-najaf dekhta hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close