ghubar kis ka hai istiara ye gard kis waste udi hai yahan wahan ek ek zarre mein sar-kashi kis ne dal di hai bikhar gai hai purani tartib sare unsur alag hue hain har ek apne mein ek mukammal wajudiyat ka alamati hai jahan pe zarraat ki sulag thi wahan pe idrak tham gaya tha basirat apni bhi us ke aage hazar chaha na ja saki hai nafas pe ghaalib hai nafs takiya haram se sochna samajhna zamir jage to aah bhar lo ki ab qayamat hi aa rahi hai mujhe pukaro mujhe sada do main ek khoya hua bashar hun shuur mein la-shuur ki tarah ek aawaz gunjti hai khada hun main das hazar sala qadim duniya ke bich 'owaisi' ulat ke tarikh ke waraq zindagi mujhe kuchh suna rahi hai tilism kaisa hai us ne mere hawas qabu mein kar liye hain main us ko pahchanta nahin hun jo meri chaukhat pe aa chuki hai