ghurur-e-zat kahin naqd-e-jaan mein chhoD aae

ghurur-e-zat kahin naqd-e-jaan mein chhod aae
wo aag phir usi aatish-fishan mein chhod aae

azab-e-hijr se tere visal-lamhon tak
hum apni zat kahin darmiyan mein chhod aae

tamam umr phir us ki talash mein bhatke
wo ek sukun jo kachche makan mein chhod aae

na ras aaya use meri zat ka thahraw
to khud ko is liye barq-e-tapan mein chhod aae

chura ke waqt se apne azab ke lamhe
ba-shakl-e-sang yad-e-mehrban mein chhod aae

hua na yun kabhi ehsas-e-shiddat-e-hijran
badan ki dhup tere jism-o-jaan mein chhod aae

teri nigah kare ab madar ki tain
sitara apna teri kahkashan mein chhod aae

guzarta hai kaf-e-saffak se ya phir sar se
maal-e-gul to yad-e-baghban mein chhod aae

wahin thi darj hikayat-e-na-saburi-e-dil
wo ek mod jo tum dastan mein chhod aae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close