gir gae jab sabz manzar tut kar rah gaya main apne andar tut kar so rahe the shahr bhi jangal bhi jab ro raha tha nila ambar tut kar main simat jaunga khud hi dosto main bikhar jata hun aksar tut kar aur bhi ghar aandhiyon ki zad mein the gir gaya us ka hi kyun ghar tut kar ro raha hai aaj bhi taqdir par sabz-gumbad se wo patthar tut kar ab nahin hota mujhe ehsas kuchh main hun ab pahle se behtar tut kar chand hi lamhon mein 'tabish' bah gaya meri aankhon se samundar tut kar