go is safar mein thak ke badan chur ho gaya main us ki dastaras se magar dur ho gaya ab us ka nam le ke pukaren use kahan sahra bhi ab to khalq se mamur ho gaya kyun us ne hath khinch liya mere qatl se kyun mujh pe rahm kha ke wo maghrur ho gaya sab apne apne ghar mein nazar-band ho gae ab shahr pur-sukun hai mashhur ho gaya qismat ne la ke us ko khada kar diya kahan aaina dekhne pe wo majbur ho gaya