gul tha bulbul thi gulistan mein magar tu hi na tha

gul tha bulbul thi gulistan mein magar tu hi na tha
kya gulistan wo gulistan tha agar tu hi na tha

shor-o-hangama to aashiq ko nahin deta hai zeb
sab hi zakhmi the wahan zer-o-zabar tu hi na tha

rang kitne the magar tujh ko na tha shauq-e-hayat
ham-safar kitne the mushtaq-e-safar tu hi na tha

chah shohrat ki na kar par tu yun ruswa to na ho
teri khatir thi saji bazm-e-hunar tu hi na tha

kaisa manzar ho bina nur-e-nazar kuchh bhi nahin
kaise manzar the par ai nur-e-nazar tu hi na tha

mujh ko khadsha tha ki tu jadu hai par chhu hi liya
wahi aakhir ko hua jis ka tha dar tu hi na tha

aashna tu hi tha sheron ke ishaaron se mere
kya hi phir karta bhala arz-e-hunar tu hi na tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close