gungunate hue aanchal ki hawa de mujhko

gungunate hue aanchal ki hawa de mujh ko
ungliyan pher ke baalon mein sula de mujh ko

jis tarah faltu gul-dan pade rahte hain
apne ghar ke kisi kone se laga de mujh ko

yaad kar ke mujhe taklif hi hoti hogi
ek qissa hun purana sa bhula de mujh ko

dubte dubte aawaz teri sun jaun
aakhiri bar to sahil se sada de mujh ko

main tere hijr mein chup-chap na mar jaun kahin
main hun sakte mein kabhi aa ke rula de mujh ko

dekh main ho gaya badnam kitabon ki tarah
meri tashhir na kar ab to jala de mujh ko

ruthna tera meri jaan liye jata hai
aise naraaz na ho hans ke dikha de mujh ko

aur kuchh bhi nahin manga mere malik tujh se
us ki galiyon mein padi khak bana de mujh ko

log kahte hain ki ye ishq nigal jata hai
main bhi is ishq mein aaya hun dua de mujh ko

yahi auqat hai meri tere jiwan mein ki main
koi kamzor sa lamha hun bhula de mujh ko


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close