guzar gae hain jo din un ko yaad karna kya ye zindagi ke liye roz roz marna kya meri nazar mein gae mausamon ke rang bhi hain jo aane wale hain un mausamon se darna kya bujhe hue dar-o-diwar ko bhi raunaq de ye khwab ban ke meri aankh se guzarna kya misal-e-ashk sar-e-daman-e-hayat hun main meri rawani hi kya aur mera thaharna kya hujum-e-jalwa se jis rah par charaghan tha jo bujh gai hai to us rah se guzarna kya misal-e-naqsh-e-qadam apni hairaton mein hun gum wo ja chuka hai to phir intizar karna kya guzar rahi hai ghanimat hai zindagi mana magar ye ek hi andaz se guzarna kya