guzarne wali hawa ko bata diya gaya hai

guzarne wali hawa ko bata diya gaya hai
ki khushbuon ka jazira jala diya gaya hai

zamin ki aankh ka naqsha bana diya gaya hai
aur ek tir faza mein chala diya gaya hai

usi ke dam se tha raushan sipah-e-shab ka alam
wo chand jis ko zamin mein daba diya gaya hai

wo ek raaz! jo muddat se raaz tha hi nahin
us ek raaz se parda utha diya gaya hai

tumhein pata nahin khana-ba-dosh ummido?
naya ilaqa sar-e-jaan basa diya gaya hai

jahan hua tha basarat ka qatl-e-am 'nabil'
wahan ek aaina-khana bana diya gaya hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close