guzre talluqat ka ab wasta na de

guzre talluqat ka ab wasta na de
gum ho chuki kitab jo us ka pata na de

ab tazkire na chhed mere ahad-e-shauq ke
jo bujh gai hai aag use phir hawa na de

kuchh is qadar fareb sahaaron se khae hain
main gir padunga khauf se tu aasra na de

jis ki jabin-e-shauq pe likkha tha mera nam
ab dur ja basa hai tu shayad bhula na de

shoala jo maujzan hai mohabbat ka dil mein aaj
dar hai ki sarsar-e-gham-e-dauran bujha na de

go chal pada hun dil se magar chahta hun ye
uth kar mujhe wo rok le aur rasta na de

khali na koi daulat-e-ikhlas se rahe
'alwi' kisi ko bhul ke ye bad-dua na de


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close