haal-e-dil kahne ko kahte ho to kab tum mujhko

haal-e-dil kahne ko kahte ho to kab tum mujh ko
hae jis waqt nahin tab-e-takallum mujh ko

khak ho kar bhi wahi hasrat-e-pa-bos rahi
ho gai mauj-e-saba mauj-e-talatum mujh ko

zoaf se haal ye patla hai rah-e-ulfat mein
sail-e-girya pe bhi hasil hai taqaddum mujh ko

kahte hain zikr-e-shab-e-wasl pe kya jaaniye kyun
kabhi sharm aur kabhi aata hai tabassum mujh ko

moajiza hazrat-e-isa ka tha be-shubah durust
ki main duniya se gaya uth jo kaha qum mujh ko

sail-e-girya ki badaulat ye hua ghar ka haal
khak tak bhi na mili bahar-e-tayammum mujh ko

un ko gin gin ke shab-e-hijr basar hoti hai
tare aankhon ke na kyun howen ye anjum mujh ko

hai gazi gadha hi 'kaifi' ka shiar aur wisar
nahin darkar hai ye atlas-o-qaqum mujh ko


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close