haal-e-dil wo puchhne aane lage marne wale zindagi pane lage koi batlae mile kaise qarar har taraf jab tum nazar aane lage chheda kya afsana tum ne pyar ka hum bhi qisse kal ke dohrane lage husn ka chaha raqibon se bayan bolte kya khak haklane lage hai maraz aankhon ko lahaq jaaniye jab burai bas nazar aane lage nind par bhi lag gain pabandiyan jab se khwabon mein huzur aane lage raaten to ho jati thin aksar garan din ke hisse mein bhi gham aane lage ishq hai jaanam tijarat ye nahin faede ka kyun khayal aane lage shayad ho jae falak ab mehrban soch kar hum dil ko bahlane lage