haalat-e-dil wahi rahi maqsad-e-dil ko pa ke bhi hum to sukun na pa sake un ke qarib ja ke bhi izn-e-nazara to diya jurat-e-did chhin li wo kabhi samne na aae rukh se hijab utha ke bhi dil hai na zauq-e-arzu koi talab na justuju ab wo karenge kya mujhe sahib-e-dil bana ke bhi pas-e-raza-e-dost ko ahl-e-wafa se puchhiye kuchh na zaban se kah sake un ka ishaara pa ke bhi khul gaya raaz-e-haal-e-dil jab wo harim-e-naz mein hum se nazar churaiye sab se nazar mila ke bhi yun bhi ek imtihan sahi jazb-e-darun-e-ishq ka kuchh dinon dekh lijiye dil se hamein bhula ke bhi kam hui kya fasurdagi 'kaif'-e-alam-nasib ki aap ne dekh to liya barha muskura ke bhi