haalat mere dil ko lagane nahin dete

haalat mere dil ko lagane nahin dete
aankhon mein tere khwab sajaane nahin dete

zulmat ke pujari to bahut tang-nazar hain
jashn-e-shab-e-tarik manane nahin dete

aankhon pe to bilkul hi koi bas nahin chalta
hum khud ko teri bazm mein jaane nahin dete

jannat ki duaen mujhe dete hain sabhi log
is ahd mein jine ke bahane nahin dete

nafrat ki riwayat ke paband hain lahje
ruthe hue logon ko manane nahin dete

kuchh khwab meri zat se badh kar bhi to hain jo
phir dil ko teri aas lagane nahin dete

sukhe hue phul aur tere lams ki khushbu
sadma tere jaane ka bhulane nahin dete

goyai hai paband-e-salasil ki 'amir' ab
sahra mein bhi aawaz lagane nahin dete


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close