haar kar bazi phir ek tadbir ho jaunga main

haar kar bazi phir ek tadbir ho jaunga main
tum samajhte ho yun hi taskhir ho jaunga main

ishq mein is ke sawa main kuchh nahin kar paunga
hu-ba-hu jaanan teri taswir ho jaunga main

sath chhutega nahin apna safar mein umr ke
rahguzar tu aur tera rah-gir ho jaunga main

aayaten mansub hain tujh se rumuz-e-ishq ki
aur inhi aayat ki tafsir ho jaunga main

gham uthata hun ghazal kahta hun jita rahta hun
log kahte hain ki ek din 'mir' ho jaunga main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close