habs-e-darun pe jism-e-giran-bar sang tha

habs-e-darun pe jism-e-giran-bar sang tha
wahshat pe meri arsa-e-afaq tang tha

kuchh dur tak sahab-e-rifaqat raha rafiq
phir ehtamam-e-barish-e-tir-o-tafang tha

sahmi hui faza-e-ghazalan ke ru-ba-ru
jangal tha qahqahe the khuda tha main dang tha

ab shahr-e-justuju mein tere baad kuchh nahin
aabaadi-e-badan mein jo dil tha malang tha

ji ye kare hai aaj ki tanha jien maren
kab mere iztirab ka ye rang-dhang tha

har sham muzmahil si sawera bujha bujha
tujh se pare jo dekha yahi ek rang tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close