hadon se baDh ke mukammal hudud saunpta hun

hadon se badh ke mukammal hudud saunpta hun
teri thakan ko main apna wajud saunpta hun

ragon mein khun ki hiddat se khushk-sali hai
main us rawani ko rasm-e-jumud saunpta hun

wo mujh se dur to main us se dur hone laga
main barguzida aziyyat ko sud saunpta hun

main saunp dene ki manzil talak nahin pahuncha
magar kisi ko qayam-o-sujud saunpta hun

wo be-zaban khuda kar raha tha sargoshi
main marifat ke tanasub se jud saunpta hun

to kya ye lafz bhi khali hain manawiyyat se
zabur-e-jism ko ruh-e-daud saunpta hun

mera wajud madina shumar hota hai
main jab bhi dil se dahan ko darud saunpta hun

nabi ka beta hun nisbat hai mo'atabar meri
kisi ko faqr kisi ko numud saunpta hun

ayan bhi hona hai lekin nihan bhi rahna hai
so ghaebana ada ko warud saunpta hun

mujhe hai khauf-e-zamana na niche dab jae
main apne sar ka falak ko umud saunpta hun

tu meri aankh ke hujre mein laut aaega
main tujh ko donon-jahan ki hudud saunpta hun

tu dekhne ka irada to bandh ai 'kazim'
main teri aankh ko ramz-e-shuhud saunpta hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close