hadsa to bas ek bahana tha ruh ko jism chhod jaana tha be-asar sab dawaen hoti rahin zakhm kam-bakht bhi purana tha kaise kahta main alwidaa us ko us ke dil mein mera thikana tha qatra-qatra tha gham samundar mein sipiyon mein use sajaana tha muflisi mein akela chhod aae sath jis ka tumhein nibhana tha rah-e-pur-khar thi magar mujh ko apna daman bhi khud bachana tha wo na samjha usul ki khushbu us ka andaz tajirana tha hum manate rahe jise har-dam us ki aadat mein ruth jaana tha