hae ek shaKHs jise humne bhulaya bhi nahin

hae ek shakhs jise hum ne bhulaya bhi nahin
yaad aane ki tarah yaad wo aaya bhi nahin

jaane kis mod pe le aai hamein teri talab
sar pe suraj bhi nahin rah mein saya bhi nahin

wajh-e-ruswai-e-ehsas hua hai kya kya
hae wo lafz jo lab tak mere aaya bhi nahin

ai mohabbat ye sitam kya ki juda hun khud se
koi aisa mere nazdik to aaya bhi nahin

ya hamein zulf ke sae hi mein nind aati thi
ya mayassar kisi diwar ka saya bhi nahin

bar-ha dil teri qurbat se dhadak uttha hai
go abhi waqt mohabbat mein wo aaya bhi nahin

aap us shakhs ko kya kahiye ki jis ne 'ummid'
gham diya gham ko dil-azar banaya bhi nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close