hai aaine ke muqabil jo hu-ba-hu kya hai ye mera rup nahin hai to jalwa-ru kya hai mere badan ki ragon mein sharab ki surat jo sar patakta guzarta hai ju-ba-ju kya hai munafarat ke khasare mein khush-khiram rahe sarisht-e-adam-e-khaki mein khu-ba-khu kya hai magan hai aur kisi soch mein mera wijdan main apne aap se makhfi hua hun tu kya hai hatak hai baada-kashon ki badhaen dast-e-sharab nazar se uth nahin pae to phir subu kya hai hamein to koi tafarruq nazar nahin aata sarab-e-mehr-e-tamanna ya mah-ru kya hai tumhaara nam hai 'ashraf' sukhan-taraaz magar tumhin kaho ki ye andaz-e-guftugu kya hai