hai aarzu ye koi to aisa dikhai de

hai aarzu ye koi to aisa dikhai de
jo be-hisi ke daur mein apna dikhai de

ahwal-e-zindagi mein hai har shakhs ajnabi
chehra koi to mujh ko shanasa dikhai de

hai kashmakash mein aaj badi zindagi meri
hun muntazir ki koi to rasta dikhai de

chaaron taraf hai raj udasi ka aaj-kal
koi to ho jo shahr mein hansta dikhai de

hai aane wale waqt se ek 'rubi' khauf sa
ummid ka diya koi jalta dikhai de


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close