hai barham phir mizaj un ka dil-e-nakaam kya hoga

hai barham phir mizaj un ka dil-e-nakaam kya hoga
yahi surat rahi to ishq ka anjam kya hoga

khalish dil mein jigar mein dard lab par mohr-e-khamoshi
ye surat hai to phir mujh ko bhala aaram kya hoga

ye bazm-e-naz hai ai dil yahan behtar hai khamoshi
suna kar un ko apna qissa-e-alam kya hoga

yahi hai zohd ka aalam to phir ai hazrat-e-naseh
sharab-e-hauz-e-kausar ka chhalakta jam kya hoga

abhi se aankh mein aansu hain lab par aah dil mein dard
ye aaghaz-e-mohabbat hai to phir anjam kya hoga

khudara ye bhi socho ai chaman ke chhodne walo
hain jo sahn-e-chaman mein in ka ab anjam kya hoga

koi badnam ho jae to is ko bhi bahut samjho
hai ye duri khudi is mein kisi ka nam kya hoga

abhi to shab hai aao pyar ki baaten karen hum tum
abhi se kyun ye sochen subh ka paigham kya hoga

jidhar dekho udhar zulmat nazar aati hai ai 'kashfi'
sahar ka rang hai jab ye to rang-e-sham kya hoga


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close