hai jo darwesh wo sultan hai ye malum hua

hai jo darwesh wo sultan hai ye malum hua
boriya takht-e-sulaiman hai ye malum hua

dil-e-agah pasheman hai ye malum hua
ilm khud jahl ka irfan hai ye malum hua

apne hi wahime ke sab hain utar aur chadhaw
na samundar hai na tufan hai ye malum hua

dhundne nikle the jamiyat-e-khatir lekin
shahr ka shahr pareshan hai ye malum hua

hum ne aabaadi-e-alam pe nazar jab dali
dil ki duniya abhi viran hai ye malum hua

inqalab aap hi duniya mein nahin aate hain
wo nazar silsila jumban hai ye malum hua

baadshahi bhi nazar aati hai muhtaj-e-khiraj
taj kashkol-e-gada yan hai ye malum hua

un ke qadmon pe jo gir jae wahi qatra-e-ashk
hasil-e-dida-e-giryan hai ye malum hua

un ki nazron pe jo chadh jae wahi zarra-e-khak
surma-e-chashm-e-ghazalan hai ye malum hua

un ke dar tak jo pahunch jae wahi aabla-pa
rahbar-e-qafila-e-jaan hai ye malum hua

aabiyari jo kare khun-e-rag-e-jaan to 'saba'
dil-e-har-zarra gulistan hai ye malum hua


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close