hai maslahat ki asir duniya main jaanta hun

hai maslahat ki asir duniya main jaanta hun
karegi kis dar pe ja ke sajda main jaanta hun

hawa ki jitni nawazishen hain ye sazishen hain
charagh aur aandhiyon ka rishta main jaanta hun

main apne ashkon ka chhinta de dun to hosh aae
abhi hai us ka zamir zinda main jaanta hun

ye us ki teghen ye us ke neze ye us ke khanjar
pighalne wala hai sara loha main jaanta hun

kahan se baal aaine mein aae ye dekhna hai
kahan se taqsim aks hoga main jaanta hun

jo zimmedari mili hai jis ko nibha raha hai
na koi pyasa na koi dariya main jaanta hun

kisi zamane ki marifat kya kalam karna
badalta rahta hai ye zamana main jaanta hun

samajh raha hun wo kaise bichhdega mujh se 'tariq'
kahan wo badlega apna rasta main jaanta hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close