hai mera tar-e-nafas tar-e-qafas

hai mera tar-e-nafas tar-e-qafas
rishte barpa hon giraftar-e-qafas

murgh-e-dil ko zabh ai sayyaad kar
aur tair hain sazawar-e-qafas

shauq bulbul ko asiri ka jo ho
ho zar-e-gul se kharidar-e-qafas

kyun na main rangin-bayan hun qaid-e-ranj
murgh-e-khush-khwan hai sazawar-e-qafas

zindagi se qaid mein bhi hun subuk
gah bar-e-dam gah bar-e-qafas

mujh sa bulbul qaid ho kar chhut jae
so gae kya bakht-e-bedar-e-qafas

chashm-e-alam mein asir-e-dam hai
ruh hai tan mein sazawar-e-qafas

phand kar aaya tha diwar-e-chaman
phand jaun kyun ki diwar-e-qafas

kya hai dagh-e-khun-e-bulbul ki bahaar
dekh ai sayyaad gulzar-e-qafas

kab kisi bulbul ko milta hai gulab
khun-e-dil pita hai bimar-e-qafas

zabh karne ko utara nakhl se
sar mera tha pa-e-raftar-e-qafas

puchhta hai kya dil-e-bulbul ka haal
dekh zalim jism-afgar-e-qafas

ashk ko hai dam-e-gesu ki talash
tifl hota hai kharidar-e-qafas

ta-ba-kai hoga asir-e-dam-e-fikr
'arsh' kar mauquf ashaar-e-qafas


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close