hai mere pesh-e-nazar chand si surat teri

hai mere pesh-e-nazar chand si surat teri
gul khilaegi kisi roz mohabbat teri

bar ulfat ka na uthta kisi aashiq se magar
roz deti hai ilahi ise qudrat teri

chashm-e-maqtul ko dekha to kaha qatil ne
jaegi ta-ba-lahad sath ye hasrat teri

yas-o-arman-o-tamanna se na ghabra aashiq
rah-e-ulfat mein badhaengi ye himmat teri

barkaten kis ke qadam ki hain dil-e-zar bata
roz badhti hi chali jati hai wusat teri

kis ne roka hai tujhe kyun nahin aati hai qaza
roz ushshaq kiya karte hain minnat teri

ja-ba-ja tere sabab se main ruka jata hun
aaj daman mein kiye deta hun fursat teri

shaq hai teri judai dil-e-gham-ghin mujh ko
le chali su-e-bayaban mujhe wahshat teri

kibr-o-nakhwat hai ye kis chiz pe batla wo mujhe
khak hai teri bina kya hai haqiqat teri

saikdon jurm pe bhi rizq mujhe deta hai
ye inayat ye mohabbat ye murawwat teri

hae afsos 'jamila' ye hua haal tera
ab to dekhi nahin jati hai musibat teri


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close