hai nau-jawani mein zoaf-e-piri badan mein rasha kamar mein KHam hai

hai nau-jawani mein zoaf-e-piri badan mein rasha kamar mein kham hai
zamin pe saya hai apne qad ka ki jada-e-manzil-e-adam hai

yahi hai rasm-e-jahan-e-fani isi mein katti hai zindagani
kabhi hai saman-e-aish-o-rahat kabhi hujum-e-gham-o-alam hai

batao kyun chup ho munh se bolo guhar-fishan ho dahan to kholo
aziz rakhte ho jis ko dil se usi ke sar ki tumhein qasam hai

hatao aaine ko khudara labon pe aaya hai dam hamara
banaw tum dekhte ho apna yahan hai dhadka ki raat kam hai

tumhaare kuche mein jab se baithe bhulae dil se sabhi tariqe
khuda hi shahid jo jaante hon kahan kalisa kahan haram hai

abas hai koshish husul-e-zar mein khayal-e-fasid ko rakh na sar mein
wahi milega azal se jo kuchh har ek ke nam par raqam hai

farishte jannat ko le chale the pa tere kuche mein hum jo pahunche
machal gae un se kah ke chhodo hamein yahi gulshan-e-iram hai

juda ho jab yar apna saqi kahan ki sohbat sharab kaisi
pilaen gar khizr aab-e-haiwan hum us ko samjhen yahi ki sam hai

jilae ya hum ko koi mare bahisht de ya saqar mein dale
rahega us but ka nam lab par hamare jab tak ki dam mein dam hai

'habib' ta-chand fikr-e-daulat kabhi to kar dil se shukr-e-neamat
karim ko hai karam ki aadat magar ye ghaflat teri sitam hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close