hai sara lams ka fitna hawas pagal hain

hai sara lams ka fitna hawas pagal hain
khuda ka shukr ki chehra-shanas pagal hain

tumhaare shahr mein pagal wo hain jo hanste hain
hamare shahr mein sare udas pagal hain

wo mujh mein pani piyegi nahin nahin mujh mein
jhagad rahe hain musalsal gilas pagal hain

shuur wale hi goli chalana jaante hain
main mutmain hun mere aas-pas pagal hain

mujhe samajhne ki manzil hai muntazir un ki
yaqini baat hai pagal ki aas pagal hain

main un se puchhunga jannat hain bechte kaise
mujhe nawaz agar tere pas pagal hain

wo apni sadiyon ko tishna-dahan banae gae
bujha rahe hain jo lamhon ki pyas pagal hain

hamari waqt se banti to kis tarah banti
mizaj-e-waqt ko aate hi ras pagal hain

tumhaare baad siyanon ka haal kya hoga
tumhaare baad yahan par udas pagal hain

libas walon se badh kar haya hai aankhon mein
hamari aankhon mein kuchh be-libas pagal hain

tujhe sataenge jab tak teri raza hogi
hum har tarah se tabiat-shanas pagal hain

tumhaare ahd ke sau se hain mohtaram 'kazim'
hamare ahd mein jo ki pachas pagal hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close