hai tajjub aaj tak bhi ishq kyon ruswa nahin

hai tajjub aaj tak bhi ishq kyon ruswa nahin
dard be-awaz sa hai gham ka bhi saya nahin

jo hua anjam diwane ka wo hota nahin
wo samajh jata magar kuchh hum ne samjhaya nahin

mere kamre ki bhi diwaron se ye puchhe koi
koi kya jaane ki main kyon raat bhar soya nahin

main kahin jaun mere ham-rah us ki yaad hai
tum mujhe tanha samajhte ho to main tanha nahin

ho sake to aap rakhiye apne aibon par nazar
dusron ki khamiyon par tabsira achchha nahin

kis qadar badla hai mujh ko waqt ne haalat ne
aaina hai samne lekin mera chehra nahin

dur tak milta nahin hai us mein aashiq ka wajud
ishq aisi dhup hai jis mein koi saya nahin

sham-e-gham so jaun tujh ko sath le kar subh tak
apne wade par use aana tha wo aaya nahin

be-khabar be-samt hi apna raha hai ye safar
ja rahe hain hum kidhar khud ko bhi batlaya nahin

is qadar beganagi khud se rahi hai umr bhar
apne haal-e-zar par 'arpit' kabhi socha nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close