haibat-e-husn se alfaz ki hairani tak

haibat-e-husn se alfaz ki hairani tak
baat pahunchi thi abhi chand ki peshani tak

aap kya dirham-o-dinar liye phirte hain
hum to thukra bhi chuke takht-e-sulaimani tak

wasl ke qisse to tamhid hain sunte rahiye
baat pahunchegi abhi quwwat-e-imani tak

qissa-e-rafta mukammal nahin hoga warna
zikr jari rahe aqdar ki arzani tak

aap mohsin hain magar khel ki majburi hai
dil to aata hi nahin rah mein sultani tak

us ne kuchh soch ke sahra ki taraf mod diya
pyas bas pahunchne wali thi abhi pani tak

dafatan waqt ne raftar badha di warna
bhagta main bhi raha ek had-e-imkani tak


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close