hain dam ke sath ishrat o usrat hazar-ha

hain dam ke sath ishrat o usrat hazar-ha
wabasta ek tar-e-nafas se hain tar-ha

kuchh said-zakhm-khurda-e-jaanan hamin nahin
har said-gah mein us ki hain bismil shikar-ha

aaya wo jab to hum na rahe aap mein gharaz
dekha isi tarah se use hum ne bar-ha

us gul ke chaak-e-jeb ki hasrat se bagh mein
har subh chaak hoti hain jeb-o-kanar-ha

us sozan-e-mizha ke tasawwur mein shana-san
tute hain ek khalq ke pahlu mein khar-ha

kis kis ki dekhiye chaman-e-sana mein bahaar
apni faqat do chashm hain aur yan bahaar-ha

the kal ye khatt-e-ariz-e-khuban-e-sabza-rang
kahte hain aaj khalq jinhen sabza-zar-ha

the kal ye shahidan-e-sahi sarw-o-sim-tan
shahid hain aaj marg ke jin ke mazar-ha

sab ko 'nazir' sona hai ek din ba-zer-e-khak
sang-e-mazar us ke hain aaina-dar-ha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close