hairat aur iztirab ko ham-sar karunga main

hairat aur iztirab ko ham-sar karunga main
dekhunga tujh ko aankh ko patthar karunga main

aandhi ko odh lunga zarurat padi agar
tapti hui chatan ko bistar karunga main

logon ko ek sham dikhaunga moajiza
sae ko apne qad ke barabar karunga main

sanpon ko doston se bhi daswaunga kabhi
dekhoge ye tamasha sadak par karunga main

ya apni band mutthiyan dekhunga ghaur se
warna khayal-e-dast-e-sikandar karunga main

'ghaalib' ke baad urdu ghazal mar gai 'nizam'
murde pe aisa kaun sa mantar karunga main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close