'hairat' ke dil pe war kiya hae kya kiya khud ko bhi be-qarar kiya hae kya kiya mujh ko na tha khud apni nigahon pe e'tibar aur us ne e'tibar kiya hae kya kiya jitna hi main kharab hua na-tawan hua utna hi us ne pyar kiya hae kya kiya main us se bad-guman raha uf ai fareb-e-ishq aur us ne mujh ko pyar kiya hae kya kiya hans hans ke apna daman-e-rangin diya mujhe aur main ne tar tar kiya hae kya kiya milta tha ek nazar se meri ruh ko qarar us ne bhi be-qarar kiya hae kya kiya