ham-nafas khwab-e-junun ki koi tabir na dekh raqs karna hai to phir panw ki zanjir na dekh tu kisi husn-e-jahan-soz ki taswir na dekh apne guzre hue haalat ki tafsir na dekh husn-e-tadbir se taqdir badal de apni jo hai haalat se mansub wo taqdir na dekh tu parastar-e-amal hai to amal ki khatir khwab-e-rangin ki qasam khwab ki tabir na dekh razm-e-hasti se guzarna hai agar tujh ko 'niyaz' zulmat-e-shab ko samajh subh ki tanwir na dekh