ham-sae se talab karun pani ke baad kya

ham-sae se talab karun pani ke baad kya
rahta hai hosh naql-e-makani ke baad kya

ye kaisi tod phod hai shahr-e-wujud mein
aatank mach gaya hai jawani ke baad kya

pani ke panw katne pe tul gae ho tum
dariya mein bach rahega rawani ke baad kya

baaton ke sath munh se tapakne laga hai khun
mar jaunga main hijr-bayani ke baad kiya

un ko bataunga jinhen huron se ishq hai
dar-asl hoga aalam-e-fani ke baad kya

main dekhta hun aankh mein khwabon ki mayyaten
tum dekhte ho ashk-fishani ke baad kya

sheron pe zulm karte hain jo jaante nahin
karna hai kaam misra-e-sani ke baad kya

kyun lafz lafz khodte ho sher ko 'kabir'
shair nikalna hai maani ke baad kya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close