hama-jihat meri talab jis ki misal ab nahin tera khayal hai magar apna khayal ab nahin shauq ka bahr-e-be-karan mahw-e-sukut-e-jawedan is mein na koi josh ab is mein ubaal ab nahin gham ki zamin pe aasman baqi raha na ai miyan dil ki ye sogwariyan ru-ba-zawal ab nahin ab na harim-e-naz se hoga tulu aaftab qurb-e-jamal to gaya lutf-e-visal ab nahin dur hai rah habib ki baat ye hai nasib ki jina muhaal ho gaya marna muhaal ab nahin raqs-kunan hai wan hawas us pe rahi na dastaras husn-e-malih sakin-e-shahr-e-jamal ab nahin tere karam pe ji rahi kab se hai meri kaj-rawi koi jawab ab nahin koi sawal ab nahin le ke nai nai ghazal aa hi gae 'farid' ab sun ai charagh-e-anjuman tera zawal ab nahin