hama-shuma ko nahin dost hi ko bhul gaya na bhulna tha jise wo usi ko bhul gaya tawangari ne badal hi diya hai us ka mizaj wo mujh ko aur meri dosti ko bhul gaya kami to mai ki nahin thi magar mera saqi kisi ko jam diya aur kisi ko bhul gaya itaaten hi to jine ka ain maqsad hai khuda ka banda magar bandagi ko bhul gaya wo meri jaan ka dushman hai jaanta tha main mila jo hans ke to mein dushmani ko bhul gaya qafas mein rahne ka sayyaad ye nahin matlab qafas mein rah ke main parwaz hi ko bhul gaya tamam-umr main shayad teri talash mein tha tu mil gaya to main aawargi ko bhul gaya safar tawil tha aur main thaka hua tha 'nazir' lagan thi itni ki wamandagi ko bhul gaya