hamara aaina be-kar ho gaya to phir!

hamara aaina be-kar ho gaya to phir!
tumhaara husn trahdar ho gaya to phir!

mila ke khak mein wo sochta raha barson
main aaine mein numudar ho gaya to phir!

rukawaten to safar ka jawaz hoti hain
ye rasta kahin hamwar ho gaya to phir!

wo mahtab hai, main jhil aur safar darpesh
wo mujh se hota hua par ho gaya to phir,

tamam shahr ne lauta diya hai khali hath
aur us ke dar se bhi inkar ho gaya to phir!

to kyun na rasta tabdil kar liya jae
kahin jo mujh se tumhein pyar ho gaya to phir!


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close