hamara nam pukare hamare ghar aae

hamara nam pukare hamare ghar aae
ye dil talash mein jis ki hai wo nazar aae

na jaane shahr-e-nigaran pe kya guzarti hai
faza-e-dasht-e-alam koi to khabar aae

nishan bhul gai hun main rah-e-manzil ka
khuda kare ki mujhe yaad-e-rahguzar aae

main aandhiyon mein bhi phulon ke rang padh lungi
tere badan ki mahak laut kar agar aae

ghubar gham ka dayar-e-wafa mein udta hai
magar ye ashk bahut kaam chashm-e-tar aae

safar ka rang hasin qurbaton ka hamil ho
bahaar ban ke koi ab to ham-safar aae

nai sahar ka main 'gulnar' istiara hun
faza-e-tira-shabi khatm ho sahar aae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close