hamara zikr aur unki zaban se

hamara zikr aur un ki zaban se
kahan nisbat zamin ko aasman se

kahun kyunkar nazar se tu nihan hai
pata apna mila tere nishan se

hua yun bhi ki us ki samt aksar
chale aur laut aae darmiyan se

jalen jab fasl-e-gul mein bhi nasheman
to phir kya kijiye shikwa khizan se

fareb-e-zindagi khaen kahan tak
churaen aankh marg-e-na-gahan se

hawadis pesh aate hain zamin ko
sitare tutte hain aasman se

bashar ke masale hal karne shayad
farishte aaenge ab aasman se

janab-e-khizr se puchhen kisi din
mila kya un ki umr-e-jawedan se

dabi hai aag jo sine mein 'athar'
nahin kuchh kam kisi aatish-fishan se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close