hamara zikr dushman ki zabani dekhte jao

hamara zikr dushman ki zabani dekhte jao
fasana ban gai sari kahani dekhte jao

zara ek chhed do zahid se qisse hur-o-ghilman ke
phir us kam-bakht ki rangin-bayani dekhte jao

tapak le khun armanon ka aankhon se zara thahro
meri lutti hui rangin jawani dekhte jao

kamal-soz gham-ha-e-nihani dhundne walo
maal-e-soz gham-ha-e-nihani dekhte jao

bahut charche the yaron mein meri jadu-bayani ke
huzur-e-dost meri be-zabani dekhte jao


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close