hamare beach agarche raha nahin kuchh bhi magar ye dil hai abhi manta nahin kuchh bhi hum us ke gham ko in aankhon mein le ke phirte hain magar wo shakhs hamein jaanta nahin kuchh bhi ye kaisi dhul si rahon mein udti phirti hai tu ai musafir-e-jaan kya bacha nahin kuchh bhi hum apne apne dil-o-jaan ki khair mangte hain ye ijz kuchh bhi nahin hai ana nahin kuchh bhi bas ek manzar-e-khali main ungh leta hun wo khush-nazar hai magar dekhta nahin kuchh bhi tu bol uthta hai hum ko bhala bhi lagta hai magar tu yar mere sochta nahin kuchh bhi kahin pe ho ki na ho izzat-e-gunah-garan magar yahan koi tere siwa nahin kuchh bhi guman to khair mohabbat ka tha par ab is se ba-su-e-ranj-talab wasta nahin kuchh bhi hamare haal pe tum ko malal tak bhi nahin to kya jo rabt hamara tha, tha nahin kuchh bhi kabhi jo aao to hum ko jo tum se kahni hai yunhi si baat hai ab muddaa nahin kuchh bhi